Thursday 3 October 2013

Tasawur17

Na koi mujadid na koi abdaaL
Mujhay dikha koi zinda misaal.
Kuch andar hai kuch bahar hai
Kuch batin hai kuch zahar hai.
Image result for roze hashar mein by iqbal pictures

Allah hi janay kon bsahar hai
 Kon sa din roze hashar hai.


Jahil log jadu ko barhaq kehtay hain.Bhalu Baglol.


Kya faida faqeer k yaday baiza ka mulk me andhayra hai
Jahalat door na ho saki aur yahan gurbat ka basera hai.
    Na farishtay Aay na Aay jinaat
Khud hi ada kertay rahay rasomaat.
    Ye hai tasavuf me nuqs
Qavali sun'na aur kerna raqs.
Tasavuf man gharat ravayaat ka majmoa hai.Bhalu Baglol.
Gyarvin vala maslay hal kerta to mulk ka ye haal na hota
Garebon k paas gurbat aur ameron k paas maal na hota.
       Ye sufi ye darvaish
Ye kyun nahi door andesh.
           is say bari kya ho ge saza
Hath uthatay hain qabool nahi hoti dua.
insaniyat hamdardi aur bhalai
         Yehi to hai achai.
Shahenshahe Faqar Fatima aur ALi
      Koi Sultan ul faqar nahi wali.
       Jis plate me khaya usi me sorak kar diye
Sufiyon nay achay bhalay log bhi gustak kar diye.
Hassan aur Hussain faqar k shehzaday
    Sufiyon k theek nahi lagtay iraday.
       Ye sufi nafs k aseer hain
Apnay mun say faqar faqeer hain.
       Na shatan mila na rehman
Dhondtay rahay kahan kahan insan.
Na wilsale khuda na wisale sanam
      Kuch na mila lay kar janam.
  Peer ban gAay par jhot bolna na chora
Faqeer honay k bavajod dosron ka dil tora.


Ain mashaq khudi me dobnay ka behtareen tareqa hai.Bhalu Baglol.
      Khudi me doob kar gafil na ho jahan say
Farishtay madad ko anay say rahay Asman say.
        Jina nu faqar milya ona ke dunya ton lena
Na ona nay kitaban likhniyan na monvon kuj kehna.
     Faqar day nay baran sitaray
Jayray faqeeran nu bohat pyaray.
Na aqal say dushmani na ishq say yarana
  Phir bhi na janay me kyun hun devana.
 Galat ain mashaq salahiyat ki tabahi
Talib ko honi chahye pehlay say Agahi.
Na namaz ka paband na me shoqeen shatranj
       Na me ghouse azam na me data ganj.
Ain mashaq k doran naqsh ka sunehri na hona achi alamat nahi hai.Bhalu Baglol.
Koi acha kam honay nahi daytay
Molvi aram say sonay nahi daytay.
Jahil shaks jahalat ki vakalat kerta hai.Bhalu Baglol.
Na me noori na me huzoori
Na me fazool na me zaroori.
 Na koi ghous na qutb abdaal
Baglol har taraf chalta hai maal.
 Har cheez ko khuda kehna nahi danai
Sain baglol Hussain ki qurbani rang Lai.
ishq k ghoray ko aqal ki lagaam daal.Bhalu Baglol.
Marayfat bardasht kerna har banday k bas ki bat nahi
          Ye tapti dopahar hai koi thandi raat nahi.
Na me garq andar faqar-o-masti
   Na me kahun bari meri hasti.
Na rehman say na shatan say mujhay insan say mila
   Hazaar bandon me koi aik khuda ka banda dikha.

Cigarette penay valay musalman shesha penay valay nojavan
                   insaniyat ka qatal kar k bhi log insan.
Cigarette penday nay dhonvan kad'day nay
    Musalman peray kam na chad'day nay.
        Na urdu adab say lagao na punjabi say garz
Me tujhay kaisay samjhaon mujhay hai khudi ka marz.
Har shaks quran ko apni feham-o-firasat k mutabiq samajhta hai.Bhalu Baglol.
Me jhota tun sacha
Me galat tun acha.
   Na barhai hai na ghatai hai
Me nay tujhay tareqat batai hai.
Koi na samajh saka kya hai taqdeer
 Na koi faqeer na Dr Abdul Qadeer.
Jis ko lag jaAy taqdeer ki hava
Wo na kerta hai dua na badua.
Jo match fix hai wohi khail raha hun
Kya bataon kyun sab jhail raha hun.
     if    Insha'Allah ''if Allah wills''. if   if   if
inshaa Allah bhi kaha par bat na bani
 Aksar logon nay ye bat bar bar suni.
     if   if    if    Agar  Magar
  Agar magar chor day
Tun lemun nachor day.
 Kab choray ga agar
Kab choray ga magar.
Jo taqdeer k maslay me phans gaya
Wo haqeqat ki daldal me dhans gaya.

Sain baglol kafir bhi mar gaya musalman bhi
      Kya hi acha hota mar jata shatan bhi.
   Qabar bhi na mili tun janat ka kehta tha
Gareeb bay chara to isi umeed par rehta tha.
Kehtay hain AJ Iqbal day hai
Mujhay batao kya alif bay hai.
Chanda bhi gaib banda bhi gaib
Pakra gaya bay chara baglol taib.
Loot mar macha rakhi hai peeron nay
   Aj kal k sufyon aur faqeeron nay.
Qabron say tujh ko umedain khuda say naumeedi
         Yehi kafiri hai meri bat hai bilkul sedhi.

        Umar pay moqoof nahi ye batain
Samajhnay valay samajh jaya kertay hain.
Shairon ki shairi me door nahi lagai
   Jo bat zaroori thi sirf wohi batai.



Sain baglol yahan to bukhari jaisay bhi shadi nahi kartay
 Bavajod bohat naik honay k bhi sunat par nahi chaltay.
Ibn Taymiyah nay bhi nahi ke shadi
  Baglol phir bhi barh gai hai Abadi.
Sheikh `Abd al-Fattâh Abû Ghuddah mentions many famous scholars who were never married in his book al-`Ulmâ’ al-A`zâb (The Bachelor Scholars – first edition published by Maktabah al-Rushd). 
Among them were:
`Abd Allah b. Abî Najîh
Bishr b. al-Hârith al-Hâfî
Muhammad b. Jarîr al-Tabarî
al-Zamakhsharî
Hanâ’ b. al-Sirrî
Abû `Alî al-Qârî
Abû Sa`d al-Sam`ânî
Al-Nawawî etc,
Many other scholars too lived tough lives full of fasting and worship without a wife eg Ibn Taymiyya, Imam Abu Ishaq al-Shirazi, Imam Ibn Jama’ah, Imam Tahir al-Jaza’iri.

Rx qays devana bhi tha kitna samajhdar admi
   Umar bhar sehra nordi ki par shadi na ke.
  Baglol tayri zindagi ka nahi koi usool
Tun bhol gaya kya farmatay thay rasool.
Janat me dodh ke nehrain hain par dahi nahi
   Lasi penay to phir yahan hi ana paray ga.
Janat me sharab milay ge par chars nahi
Cigarette penay phir yahan ana paray ga.
       Jab moot hai hi nahi to phir tahir ko insaf kyun chahiye
Sain baglol sahab kuch yahan mazay uraye kuch vahan mazay uraye.


      Bat bat par daytay hain gali
Ye musalman iman say hain khali.
  Har taraf ho qanoon ki bala dasti
Aik ho masjid aur ho khuda parasti.
Baglol bhai bhai say tang hai
  Baytay ki bap say jang hai.
 Molvi agg lagatay hain
Logon ko bharkatay hain.
Na me namazi na me qazi
Na kabhi lagai ishq ki bazi.
Gusa na kar musalman me shesha dikha raha hun
        Tujh ko tayri apni haqeqat bata raha hun.
 Shesha dikhaya to gusa karnay lagay
Apni hi shakal-o-sorat say darnay lagay.
Azab azab kartay rahay kitab par martay rahay
      Amal na kiya aur apas me lartay rahay.
    Na Aloodgi khatam kar sakay na Abadi par control
Kya ye log nahi chahtay khushgavar saf suthra mahool.
Auliya khud khuda hotay to khuda ka zikr na kertay
 Na ye shadi kertay aur na ye bachay paida kertay.
    Banday me moot banday me zindagi
Banday me insaniyat banday me darindgi.

     ishq da tavaf kar day ashiq
Ke janan galan karan valay fasiq.
  Dhol baja kar bhi zameer na jaga
La hawla parhi par shatan na bhaga.
 Kaisay tujhay me bataon
Tujhay sanam me chahun.
     Aqal k jahaz me ishq ka eendhan daal
Takhayal ki parvaz say khud ko bahar nikaal.
 Kahan raja bhoj kahan gangu tayli
Kahan ye molvi aur kahan chambeli.
 Aik us ka husn opar say dhoop
Bayan say bahar hai us ka roop.
ishq me sazAay moot say kam koi saza nahi
           Ye wo marz hai jis ki dava nahi.
  Tayri judai ka zehar petay rahay
Tayray bagair bhi hum jetay rahay.

Jis k amaal shahadat dain k khuda aik hai
 Yehi musalman aur yehi marde naik hai.
    Hussain ko bula kar sath na diya
Ye logon nay hussain k sath kya kiya.
 Kis nay kiya shaheed Usman
Kahan thay us waqt musalman.
   Aqal bhi reh gai ilm bhi reh gaya
Yahan to ishq bhi bye bye keh gaya.
Deobandi wahabi sunni shia
       Bhindi tori kadu kia.
Kya salah-hu-din ayubi me na thi khudi ki khobi
Kya qabron say seekhi thi us nay khush aslobi.
Kon banda hai aur kon rab
Akhir kahan say aya ye sub.
           Na mahdi mila na Esa ki khabar
Zindagi ka bharosa nahi kab tak karun sabar.
Janat me dodh ki nehrain hain ye gujron ko kyun nahi bataya
Bhenson ka zikr nahi suna to phir itna dodh kahan say aya.
Rx mat ban dunya me langoor
Aisay tujhay nahi milay ge hoor.

       Janat Asman par nahi ma k qadmon k nechay hai
Bhalu shah opar na dhondh yahin kahin agay pechay hai.
Wali ko chahiye adab k dairay me rahay
  Shariat say bahar kuch bhi na kahay.
Yehi shariat yehi tareqat
  Jo batai yehi haqeqat.
Tun apnay nafs ko pehchan
Yehi hai marayfat yehi irfan.
Tayray peer gunahon say pak nahi
      Kya ye noor hain khak nahi.
Awam ki jahalat ka faida othatay hain peer
     Kya molvi kya alim aur kya ye faqeer.
  Kya peer kya faqeer dono k Amaal sayah
Talib faiz mangay to kehtay hain chor gunah.

Ye peer faqeer apni marzi kertay hain
 Ye kyun khuda say nahi dartay hain.
Saudi arab vich nahi chalday peer motay
 Othay tay peeran nu penday nay sotay.
            Jis alim k ilm say phailti hai gumrahi
Aisay alim ki khidmat say behtar hai khidmat shahi.
Janat dozak k bagair molvi ka karobar nahi chalta
       Bhalu roti k bagair to kuta bhi nahi palta.

Fatvay kya hain kagaz k tukray aur radi
Peer faqeer kya hain Loot mar aur gadi.
Peer na choray gadi
Kuta na choray hadi.
Jis tareeq par chal rahay hain musalman
Na ye tareeq abu bakr na Umar Usman.
Gadi say hoti hai kamai
 Peer ko milti hai malai.
Na me qadri na me chishti
Na me malah na me kishti.
Na me soharvardi na me naqshbandi
           Na me pak na me gandi.
Kadi hahot kadi yahot kadi lahot
 Ay nay jahil sufyan day kartot.
Jahan bhi daikhta hun lahoti
     Dil kerta hai otarun juti.
Na jabarot na malakot na nasoot
      Sir say otaar lay ye bhot.
      Na oh otay na oh thalay
Bhalu gal nai peni tayray palay.
  Tayray gazali say behtar hai bagh ka mali
Toheed ka dars day gaya maulana altaf hali.
Na me junaid baghdadi na me saadi sherazi
          Na me Haadi na me haji namazi.
       Na changaiz aur na hi shams tabraiz
Science aur technology me agay hai angraiz.

Na har shaikh talib k qabil hota hai aur na hi har talib shaikh k qabil hota hai.Bhalu Shah.
         Na mahdi ko bula na Esa say Aas laga
Ay musalman khud ka bayra tun khud paar laga.
ishq khud sazAay moot hai
   Ashiq zinda bhi foot hai.

Na rozay na namaz ka paband
 Ye bat khuda ko nahi pasand.
Har saal rozay rakhay par khuda na huva razi
 Bhalu shah kuch to gad bad hai tayra mazi.
      Ye roza ye bhok ye pyas
Tujhay kya faida dayti hai almas.
Kab tak doray ga musalmano k pechay sain baglol
         Ye wo log hain jo daytay hain Atma rool.
    Rozay say sokh kar kanta ho gaya par nafs na mara
Acha aur samajhdar insan na bana na hi khuda say dara.
    Rx ye namaz ye roza ye haj bhanvar
Chor ye batain mashoq k liye ban sanvar.
Bhalu kuch nahi hai roza haj namaz
 Jab tak na ho mahabat say Agaaz.
  Rozay rakh kar aur bhi bay sabra ho gaya musalman
Mujhay kuch maloom nahi kaisay khul gaya is ka shatan.



Shatan bandh diya gaya aur khula raha musalman
        Bhalu aisay hi ata aur jata raha ramazan.
Roza rakh kar bhi musalman na bana insan
Ramazan me bhi khula rehta hai ye shatan.


Batin me nahi raj angraiz ka

 Batin me hai raj tabraiz ka.
Kon say kandhay par farishta betha rehta hai
Mazdor to kandhay par bori uthaAy rehta hai.
Farishtay bhi tang hon gay sun kar molvi ki taqreer
  Kehtay hon gay abhi tak ye hai Lakeer ka faqeer.
Namaz perhanay valon ki bhi namaz perhi jati hai
    Bhalu shah moot to namaziyon ko bhi ati hai.
Har deen dar acha nahi hota na hi har dunya dar bura hota hai.Bhalu Shah.
 Jitnay marzi rozay rakh kuch hasil na ho ga
Shola noor k bagair tun kabhi wasil na ho ga.
     Rozay say bhi na mili shanti
Me dhondta raha aman-o-salamti.
Theek nahi tayray liye ye mahol
 Koi aur jagah talash kar baglol.
         Na meri dua kam ki na meri badua
Mujhay dono say nijat day ay mayray khuda.
Sufi masroof hai kernay me riyazat
 Molvi taqreer ko kehta hai ibadat.
Bhalu shah tasbi say fursat milay to masharay me daal hisa
     Bhalu shah kab tak sunay ga tun rozay namaz ka qisa.
Kahan hain jinaat ghusl bhi khud diya kafan pehnaya bhi khud
Farishtay kam na Aay janaza bhi khud uthaya dafnaya bhi khud.
Mujhay kafir samajh musalman samajh ya samajh Esai
         Mujhay farq nahi parta me nay Awaz uthai.
 Farishtay nay mazdoor ki bori na uthai
Akhir insan kam aya kandhay par rakhai.
    Lagta hai logon me hai yajoj majoj
Roz namaz perhatay hain nahi hota uroj.
Na me Abad ur Rehman na me Khan
Na me marde musalman na me insan.
Achai ka badla achai say nahi day saktay to burai say bhi mat do.Bhalu Shah.
Cigarette mun k andar rakha dhonvay ko diya dosron par dhaka
       Musalman ki is harkat par shatan bhi reh gaya haka baka.
Kya musalman das mahinay tak bhokay pyasay reh saktay hain
         Kya ye shaolin monks ki tarah dard seh saktay hain.
Wo faqeer hi kya jo khud garz ho
   Wo peer hi kya jis ko marz ho.
      Allah bhi aik quran bhi aik
Kyun nahi phir musalman bhi aik.
 Dil k behlanay ko janat ka khiyal acha hai
Bhalu shah hazar me say koi aik sacha hai.
Haqeqat par mabni khiyal ko tasawur kehtay hain.RXXX.
Bhalu shah bhokay bachay hi aksar rotay hain
    Jinhay dodh aur pyar milay wo sotay hain.
Sachai k pul sirat say auliya bhi gir jatay hain.Bhalu Shah.
Kahin soharvardi hai kahin dehshat gardi hai
            Kahin par rx ki na mardi hai.
 Jis nay bhi rab ko paya apnay andar hi paya
Ye wo bat hai jisay auliya nay bar bar dohraya.
Banda mazhar bhi hai azhar bhi hai
   Sirf yehi nahi ahle nazar bhi hai.
Na me sacrat na arastu na aflatoon
      Na me aik na do na platoon.
Kis bat par parda dalun kis bat say parda uthaon
   Kuch samajh me nahi ata me kis taraf ko jaon.
Musalman Fairy Tales ka shikar hain.Bhalu Shah.


Rx ko nahi chahye hakeem ki purya
    Rx ko chahye ik choti se gurya.
Nam ka aman aur nam ki salamti
Kalima parh kar bhi na mili shanti.
Science say bari karamat kon se hai.Bhalu Shah.
 Na me jogi na sadhu na yahodi
Na me zardari na nawaz na modi.
Hoshayaron k sath hoshyari karo gadaron k sath gadari
     Dushman k sath larna hai to karo bharpoor tayari.
 Na me jogi na sadhu na yahodi
Na me zardari na nawaz na modi.
   Koi na samajh saka kya hai khvab
Bhalu ultay ho gaAy saray hisab kitab.
 Tun meri bat maan ya na maan
Shola noor hai ain mashaq ki jan.
Valdain ki galtyon ka natija aulad ko bhi bhogatna parta hai.Bhalu Shah.
Martay huvay logon say bhi saval kertay hain sahafi
          Kaisay milay ge aisay jahil logon ko mafi.
Tabligyon k liye mubalig rab hai
Jo mubalig keh day wo sab hai.
Toba ye nahi tun kano ko hath laga kar astagfar kahay
      Toba ye hai tun burai ko chor day aur saf rahay.
Halva khanay k liye molvyon me itefaq hai
     Islam k liye kyun dilon me nifaq hai.
   Tablegi bhi valyon k havay daynay lagay hain
Choran k sath chatni masalay daynay lagay hain.
Bura aur na samajh tabeeb kerta hai nuqsan
   Ye apni jaib bharta hai ya phir qabrastan.
          Na me kafir na sikh na esai
Na me momin na musalman na mirzai.
Jo ho jaAy toheed me garq
 Wo peta hai khudi ka arq.
Shaikh acha samajhdar sakhi aur noori huzoori hona chahye.Bhalu Shah.
Rx ka nikal para pasina
Jab aya june ka mahina.
Jida roshan oda apna hi raj
   Apna hi takt apna hi taj.
Auliya batin me apnay nafsi halaat ka mushahida kertay hain.Bhalu Shah.
Ashiq banay phirtay hain aur ac me namaz perhatay hain
       Bhalu ye sunat to nahi ye kyun aisa kertay hain.
Kitabain likhna sunat nahi phir kyun likhtay hain
    Bhalu shah logon k iman kyun biktay hain.
Munafiq ki ibadat qabool nahi hoti.Bhalu Shah.
Arif shatan par bhi lanat nahi bhaijta kahin khud par na palat Aay
  Bhalu shah banday ko mar k bhi janat na milay to kidhar jAay.


Hazaron me say koi aik talib aur lakhon me say koi aik shaikh hota hai.Bhalu Shah.
           Rab ka tha rab ka hai rab ka rahay ga
Rab jitni bhi lanat bhaijay shatan kuch na kahay ga.
Bazi har gaya bay chara mohid shatan
Agay nikal gaya toheed me garq insan.
   Hamaray paas bhi hai rx nam ka aik firangi
Mashoq k liye baal banata hai kerta hai kanghi.
Jitni shaitan ibadat kerta hai utni hi shataniat zaida hoti hai.RXXX.
 Rx ashiq ho to shatan jaisa
Wo koi ashiq nahi aisa vaisa.
 Harfe shikayat lab pay na laya
Shaitan nay ishq me kamal paya.
Pistol ki goli yaksan mufeed chahay kafir ho ya musalman
   Bhalu ye nahi daikhti kon hai samnay insan ya haivan.
Na badla layta hai na hath uthata hai
Shaitan bay chara kankriyan khata hai.
        Dil saf hai par soch gandi hai
Achi aur samajhdar khuda ki bandi hai.
Qayamat ke hai ye alamat
Na rahay ga iman salamat.
Bemari ka pta na chalay to test karatay hain
  Phir bhi pta na chalay to sir khujatay hain.
Jaisi janat banao gay vaisi milay ge.RXXX.


Rx pasena khusk honay say pehlay mazdori laynay ki na kar bat
       Malik tayra khon bhi khusk kar day ga pari hai sari rat.
Mujhay sharm lay kar beth gai rx larki lay gaya
Mujhay tasveer aur anghoti yad k liye day gaya.
 Mizaj hai zarorat hai qalb hai
Bhalu shah adat nahi talab hai.
    Meri diary me adat nam ki koi cheez nahi
Afsos parhay likhay ko bhi aj kal tameez nahi.
          Wo bat bat par mujhay kehti thi tujhay hai meri adat
Me nay us ko talaq daytay huvay kaha na ye ibadat hai na adat.
Hum log kehtay hain talaq daynay say zameen hil jati hai
     Rx kehta hai talaq daynay say dosri larki mil jati hai.
Logo jahalat say bahar Aao khuda ka arsh na hilao
       Sach ko jhot aur jhot ko sach say na milao.
Namaz k bahanay musalman nay wuzu kiya
       Wuzu k bahanay mun hath dho liya.
iko naqsh tenu darkar
  Chilay chad oh yar.
        Kuj oh hosh vich nahi se tay kuj me bay hosh san
Na oda qasoor na mera oh kehndi rahi na me samjhya han.

         














          
           
          Na hon gay dant na ho ga dard
Aik bar zaroor istamal karain rx manjan gard.
Na ho ge gandagi na kernay paray ge safai
     Phir dair kaisi aj hi karain rx ki dhulai.

What are the Side Effects and Dangers of Zinc?

        Side-effects

  • Irritability, headache, lethargy. 
  • Unpleasant taste in the mouth.
  • There have been reports of anosmia with intranasal zinc preparations.
  • Gastrointestinal effects, including abdominal pain, dyspepsia, nausea, vomiting, diarrhoea, gastric irritation, and gastritis.This is more likely when supplements are taken with little or no food.
  • Prolonged use of high doses of zinc can result in deficiency of copper.
    Iron Side Effects
  1. Common side effects may include:
    • constipation, diarrhea;
    • nausea, vomiting, heartburn;
    • stomach pain, upset stomach;
    • black or dark-colored stools or urine;
    • temporary staining of the teeth;
    • headache; or.
    • unusual or unpleasant taste in your mouth.
Gulail ko jitna pechay khaincho utni hi agay jati hai.RXXX.
Nasvar rakhnay valay pathan deendar samjhay jatay hain
      Aisay pathano say to dunyadar bhi ghabratay hain.
Ulat gaya mayar ulat gaya paimana
Musalman ho gaya bidat ka devana.
   Na wo zameen me na wo asman me
Tujhay nahi milay ga wo dono jahan me.
Banda khatam honay k bad khatam dilatay hain
      Ye murday k nam par chaval khatay hain.
  Alim ilm me phansa
Shatan alim par hansa.
Jaisi tarbyat vaisa natija.RXXX.
Kyun puthyan sidyan lakeran vanday oh
        Haray ke ke galan sunaday oh.
          Na me alim na fazil na me paj maseti varya
Bhalu chut gaAy sab lambay penday jad da alif pharya.
  Musalman kool apni koi gal hai nahi tenu ke dasay
Bhalu shah ashiq tay oh vay jiday vich mashoq vasay.
Jaisa darakt vaisa phal
Jaisi khorak vaisa mal.
  Asan mathay ragar k dagdar ketay
Ashiqan nay tay zehar payalay petay.
     Jis ashiq vich mashoq na disay oh ashiq adhura
Ishq kamal nu tad pohanchay jad mashoq disay pura.
Tatmani ain mashaq rah bay khavan
  Ism roshan bad to manind jaodan.
 Jinha shoh alif thin paya oh khol quran na parhday
Jay deen ilm vich hunda tan sir nezay kyun charday.
Zeir zabar day rolay vich logan nu phasanday nay
    Har roz koi nava masla bana k layanday nay.
Bhalu kon hai yahan zaban ka paka
 Har kisi ko lagana parta hai dhaka.
Upar vala upar hi raha nechay vala kaam kar gaya
     Ye opar valay k nam par apni jaib bhar gaya.
      Nam to rasool rakh liya par shariat nai na laya
Ay musalman rasool k nam ka tun nay mazaq banaya.
          Kya kuch iman tujh me baqi hai abhi
Kyun apna nam rakhta hai rasool pegambar nabi.
Ye sharafat ka nahi siyasat ka door hai.RXXX.
Apna nam rasool rakh kar fakhar kernay vala musalman
               Hai abhi bay adab gustak aur nadan.
Bhalu na musalmano me adbe rasool na nabyon ka ehtaram
Aunchi awaz say Muhammad ka nam laytay hain suba sham.
Chad cigarette shesha tay huqa
    Tun parhya nahi mera ruqa.
  Jo kuch aur na ban sakay wo hakeem ban gaAy
Jo hakeem bhi na ban sakay wo shamim ban gaAy.
Kuch shareer bohat hi shareer hotay hain
      Rx ki tarah bay zameer hotay hain.
    Ameer say ameer peer
Chanda laynay vala faqeer.
   Faqeero mehnat kar k khao
Chadar daikh kar paon phaylao.
Bharosay ki arr me dhoka diya jata hai.Bhalu Baglol.
   Sirf dolat nahi ilm bhi chori ho jata hai
Dosray ko takleef day kar sorry ho jata hai.
Meri khudi Atish fishan
Me sajda karun kahan.
Jab tak log na chorain gay ahmaqana harkatain
      Ye mulk hasil na kar sakay ga barkatain.
Jab log sound system saray Aam aunchi awaz say chalatay hain
   Molviyo us waqt masjidon k speaker kyun chup ho jatay hain.
Behas kertay hain sir khatay hain
   Kyun sahafi baz na atay hain.
           Na nisab aik na kitab aik
Bhalu shah kuch gunehgar kuch naik.
    Aik behan foot ho jAay to dosri say shadi kertay hain
Rx bayak waqt do behnain rakhnay say kyun dartay hain.
Jab khuda sari bolyan samajhta hai to phir namaz arbi me kyun
              Rx abhi tak masla hal nahi huva hai jon ka ton.
Batehryan takran maryan par ik pata na hilya
         Na apni khabar hoi na hi rab milya.












Visit www.Tasawur18.blogspot.com

Visit   www.Tasawarism.blogspot.com
          www.Tafakarism.blogspot.com